Saturday, September 3, 2011

SYED SADEQ SIKANDAR 11

KHUSHBOO KI TARHA

her saans main shamil hai khushboo ki tarha
her koshish main shamil hai justajoo ki tarha

yeh mumkin he nahi hai tere bagair jena
her duaa main shamil hai aarzoo ki tarha

subha sham tera zikr hai wajah be wajah
her baat main shamil hai guftagu ki tarha

her simth tera jalwa hai aur tera cehra
her aks main shamil hai rubaru ki tarha

ashaar main khanak hai sadeq sargam ki
her lafz main shamil hai ghungru ki tarha

                  BY
SYED SADEQ SIKANDAR

SYED SADEQ SIKANDAR 10

USKI NAZER KA CHAND HOON MAIN

ishq main jeena ager kamal hai
ishq main marna ek misaal hai

uski nazer ka chand hoon main
mere raqeebon ka bura haal hai

main jawab hoon her jawab ka
tera wajood bhi  ek sawaal hai

husn fani hai dhal jayega kal
ishq marta nahi la zawaal hai

apni zindagi ek bojh hai sadeq
mere jeene ka unko malal hai

                  BY
SYED SADEQ SIKANDAR

SYED SADEQ SIKANDAR 9

HUM GILA NAHI KARTE

unko yeh shikayat ke hum mila nahi karte
ishq karne waloon se hum gila nahi karte

ishq ko pooja to mashooq ko devta mana
mann ki lagan bina khuda mila nahi karte

ishq main fana hona ibadat ki inteha hai
sacche aashiq baar baar mila nahi karte

phool ke badan main basa hai sanam mera
yeh phool chaman main roz khila nahi karte

matlab ki duniya main zaroorat ki yari hai
be gharz cahne wale yaahn mila nahi karte

ishq hamari pooja hai ishq hamari dua hai
ishq main mazhab ka hum fasla nahi karte

ishq main roothna manana aur hai sadeq
tark-e-talluq ka to hum silsila nahi karte

                      BY
SYED SADEQ SIKANDAR

Friday, September 2, 2011

SYED SADEQ SIKANDAR 8

TUJH KO CAHNE KE BAAD

khud ko jaan ne laga hoon tujh ko jaan ne ke baad
khud ko cahane laga hoon tujh ko cahane ke baad

zarra zarra khatra khatra tukda tukda bikhra tha
khud ko paa ne laga hoon tujhko paa ne ke baad

ashk-e-paihum shab-0-roz behte rehte hain aaj bhi
khud ko rula ne laga hoon tujh ko rula ne ke baad

mere laboon se mukurahatoon ka rishta he na tha
khud ko hasane laga hoon tujh ko hasane ke baad

jism jaan rooh gumaan dil jigar nazer tadapte hain
khud ko tadpane laga hoon tujh ko tadpane ke baad

mujh main koi main chupa tha mujh ko pata na tha
khud ko dekhne laga hoon tujh ko dekhne ke baad

neend khaab sona jagna chader bister bhool gaya
khud ko jagane laga hoon tujh ko jagane ke baad

nasha khumar madhoshi masti hai ishq main sadeq
khud ko behkane laga hoon tujhko behkane ke baad


                   BY
SYED SADEQ SIKANDAR



SYED SADEQ SIKANDAR 7

KOI PARDA NAHI KOI FASLA NAHI

woh paas tha to mila nahi
woh durr hai to gila nahi

saat janam ka to fareb hai
do din bhi sang chala nahi

khushi na mili to ghum sahi
tanhai  main  bhi akela nahi

ta had-e-nazer tera jalwa hai
koi parda nahi koi fasla nahi

daman taar taar dil toota hai
yeh juda nahi woh sila nahi

baghbaan se bhi koi gila nahi
sadeq apna koi gul khila nahi

                   BY
SYED SADEQ SIKANDAR


SYED SADEQ SIKANDAR 6

MUSKURANA ATA NA THA

mujh ko dekhe bina chain ata na tha
mere siwa koi bhi us ko bhata na tha

aaj her pal mujh ko rula rahi hai woh
kabhi ankh main ashk dekha jata na tha

jane kaise ja chuki hai woh sada ke liye
mujh se ek pal bhi durr raha jata na tha

jane kiyoon usne mera bhi dil liya tha
us se uska dil bhi sambhala jata na tha

uski adat main shamil kasam ka shauq
per adat se majboor nibhana ata na tha

main ghum ke samaan ka saudagar tha
khushi ki baat per muskurana ata na tha

waqt ke hatoon sabhi majboor hain sadeq
warna hum ko ansoon bahana ata na tha

                      BY
SYED SADEQ SIKANDAR


SYED SADEQ SIKANDAR 5

CAHAT KI NASHANI HAI

mana ke her taraf aaj ek veerani hai
kal tak jo apni thi aaj se begani hai

kabhi mil ke likha apna naam jahan
woh ped hamari cahat ki nishani hai

hum juda ho gaye yeh nayi baat nahi
milna aur bichadna yeh reet purani hai

woh mitti ke gher toote huwe  khilone
her cheez main bacchpan ki kahani hai

aasmaan bhi toot ke girega zameen per
ya woh qayamat hai ya teri jawani hai

kabhi fursat se ana mehfil main sadeq
ager dastan-e-ghum sunni-0-sunani hai

                     BY
SYED SADEQ SIKANDAR

SYED SADEQ SIKANDAR 4

APNI DUAOON MAIN NAHI THA ASAR

kis ko pata tha kis ko thi khabar
koi aye jaye na pata na thi khabar

mumkin tha woh mil jaye magar
apni duaoon main nahi tha asar

hum intezaar he karte ek aas per
koi jhoota sahi magar wada to ker

ek aur parwana gira zameen per
aye shama us ko dekhle ek nazer

shayad woh ajaye sitara ban ker
haan ek aas pe jagta tha raat bher

us ne kiyoon manga muskura ker
mujhe bhi jaan deni hai hans ker

bahoot andhera hai yeh shaher sadeq
apne dil ko jala ke tu yahan ujala ker

                      BY
SYED SADEQ SIKANDAR



SYED SADEQ SIKANDAR 3

KIYA KHATA KI MAIN NE

kiya khata ki main ne
jo kuch sikaya us ne
usko lautaya main ne
kiya khata ki main ne

ishq us ne sikhaya
ishq main ne nibahaya
piyar us ne dikahya
piyar main ne paya
jo us se seekha tha
sab us pe lutaya tha
ek ek lamha ek ek pal
sang us ke bitaya tha
sab khuch bhulaya us ne
jo kuch sikhaya us ne
us ko lautaya main ne
kiya khata ki main ne

jane kahan so gayi hai
jane kahan kho gai hai
kiyoon aisi ho gai hai
sab kuch bhool gai hai
achanak badal gai hai
aaj woh pass nahi hai
milne ki aas nahi hai
dil bhi udas nahi hai
dil ko piyas nahi hai
haan yeh beruqi hai
haan yeh bewafayi hai
haan yeh dillagi hai
haan yeh sangdili hai
mujh ko rulaya us ne
mujh ko sikhaya usne
us ko lautaya main ne
kiya khata ki main ne

jo kaha main ne mana
jo bataya main ne jana
us ko tanha nahi kiya
aisa gunah nahi kiya
khud ko he bhool gaya
per usko he yaad rakha
khud se he durr gaya
per usko he pass rakha
usne mazaaq se jo kaha
woh bhi sacch kiya tha
jo kuch sikhaya us ne
usko lautaya main ne
kiya khata ki main ne

kal bhi us ke jaisa tha
ab bhi uske jaisa hoon
kal bhi seekha tha us se
ab bhi seekh raha hoon
woh mere jaisi na huwi
main us jaisa ho jaoon
woh bhool gai hai to kia
main bhi sab bhool jaoon
woh badal gai hai to kia
main bhi ab badal jaoon
woh sata rahi hai to kia
main bhi usko sataoon
ager kho gai hai to kia
main bhi mil na paoon
kia ab us jaisa ho jaoon
mujhe dukhaya us ne
jo kuch sikhaya us ne
us ko lautaya main ne
kiya khata ki main ne


                   BY
SYED SADEQ SIKANDAR


SYED SADEQ SIKANDAR 2

SHAMA JALAI TO KUCH YAAD AYA

kali muskai to kuch yaad aya
koyal gayi to kuch yaad aya

baad muddat us gali se guzra
thoker khai to kuch yaad aya

dhalta suraj aur lautte parinde
shama jalayi to kuch yaad aya

hawa ka jhonka khushboo laya
sans mehkayi to kuch yaad aya

yeh bheega mausam sard hawa
ghata jo chaai to kuch yaad aya

samne aya woh ajnabi ki trha
awaaz lagai to kuch yaad aya

chaman tu baghbaan tu sadeq
patjhad ayi to kuch yaad aya

                  BY
SYED SADEQ SIKANDAR

SYED SADEQ SIKANDAR 1

HOSH WALOON KO AQL SIKAHTA HAI

kabhi apna kabhi begana lagta hai
woh shaqs jana pehchana lagta hai

ishq ibadat hai hum gunahgaron ki
ishq parsaoon ko afsana lagta hai

wo hosh waloon ko aql sikhata hai
jo dekhne main deewana lagta hai

husn to fani hai ishq lazawaal hai
ishq hone main zamana lagta hai

jate jate raunaq bhi saath le gaya
dil ka shaher ab veerana lagta hai

alfaaz main ehtiyat lazim hai sadeq
warna diloon per nashana lagta hai

                   BY
SYED SADEQ SIKANDAR