Monday, August 22, 2011

HER KHUSHI MAIN NE

HAR KHUSHI MAIN NE

luta ke rah-e-mohabbat main her khushi main ne
liya hai ghum ka sahara abhi abhi main ne

na jane kiyoon teri chashm-e-karam ko seh na saka
tere sitam to sahe thee hansi khushi main ne

tere haseen tasavoor ko samne lakar
shab-e-firaaq ko bakshi hai chandni main ne

wahin pe aagaye ankhoon main daffattan ansoon
jahan bhi dekh li hansti huwi kali main ne

na kha sakengi nigahen meri fareb-e-sukoon
ke dhadkanon he main payi hai zindagi main ne

                      BY
            ANNYOMUS

WOH GUZAR RAHE HAIN

WOH GUZAR RAHE HAIN

mere khayaloon ki rah-e-guzar
se woh dekhiye woh guzar rahe hain
meri nigahoon ke asmaan se
zameen-e-dil pe utar rahe hain

yeh kaise mumkin hai hum nashenon
ke dil ko dil ki khabar na pahonche
unhen bhi hum yaad aate honge
ke jin ko hum yaad kar rahe hain

tumhare he dum khadam se thi
ke maut aur zindagi abaad
bichad ke tum se woh na muraad ab
na jee rahe hain na mar rahe hain.

isi mohabbat ki roz-0-shab hum
sunaya karte thee dastanen
usi mohabbat ka naam lete huwe
aaj hum dar rahe hain

chale hain thodi he durr
bas woh saath mere phir bhi
yeh baat main kaise bhool jaoon
ke kabhi hum safer rahe hain

                       BY
                ANNYOMUS

DIL BAN KE DHADKTI HAI

DIL BAN KE DHADKTI HAI

jab raat ki tanhayi
dil ban ke dhadkti hai
yadoon ke dariche main
chilman si sarakti hai

yoon piyar nahi chupta
palkoon ke jhukane se
ankhoon ke lifafoon main
tehreer chamakti hai

khush rang parindoon ke
laut aane ke din aye
bichde huwe milte hain
jab baraf pighalti hai

sohrat ki bulandi bhi
pal bahr ka tamasha hai
jis daal pe baithe ho
woh toot bhi sakti hai

          BY
ANNYOMUS

APNA GHAR HE NAHI

APNA GHAR HE NAHI

kisi ke bichadne ka khauff he nahi
raste main koi humsafer he nahi

bahoot shauq ghar ko sajane ka tha
magar kiya kareen apna ghar he nahi

aur abhi dil main raoshan hai aisa diya
hawaoon ko jis ki khabar he nahi.

khuda jane kaisi khata ho gayi
duaoon main apni asar he nahi

chalo aaj un se bhi mileen
kayi din se unki khabar he nahi

                      BY
                 FAROOQ

PIYAR KA TOHFA DENA HAI

PIYAR KA TOHFA DENA HAI

jazbaat ki kaliyaan chunni hai
aur piyar ka tohfa dena hai
logoon ki nigaheen kuch bhi kaheen
logoon se hameen kiya lena hai
yeh khaas talluq aapas ka
duniya ki nazar main aam sahi

ruswai ke darr se ghabrakar
hum tark-e-wafa kab karte hain
jis dil ko basa len pehlo main
us dil ko juda kab karte hain
jo hashar huwa hai lakhoon ka
apna bhi wahi anjaam sahi

kab ghum ki ghatayen cha jayen
masoom khushi ko maloom nahi
hum aaj to jee leen jee bhar ke
kal kiya ho kisi ko maloom nahi
ek aur rasili subha sahi
ek aur nashili shaam sahi.

                     BY
           ABDUL HAI
       SAHER LUDHYANVI

SAAMNE AATE KIYOON HO

SAAMNE AATE KIYOON HO

apne haatoon se yoon cehre ko chupate kiyoon ho
mujh se sharmate ho to samne aate kiyoon ho

tum kabhi meri trha kar bhi lo iqrrar-e-wafa
piyar karte ho to phir piyar chupate kiyoon ho

ashak aankhoon main meri dekh ke rote kiyoon ho
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate kiyoon ho

in se wabasta hai jab mera muqaddar phir tum
mere shanoon se yeh zulf apni hatate kiyoon ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kiyoon ho
milne aate ho to phir laut ke jate kiyoon ho

                          BY
                  ANNYOMUS

KAM HE YAAD AOO

KAM HE YAAD AOO

main shayad tum ko
ek dum bhool ne wala hoon
shayad jaan-e-jaan shayad
 ke ab tum mujh ko
pehle se ziyada yaad aati ho

hai dil ghumgeen bahoot ghumgeen
ke ab tum yad-e-dil daarana aati ho

tumhare rang mujh main
aur gehre hote ja rahe hain
main darta hoon
mere ehsaas ke
is khaab ka anjaam kiya hoga

yeh mere andaroon-e-zaat ka taaraaj gar

jazboon ke bairi waqt ki sazish na ho koi
tumhare is trha har lamha yaad aane se
dil sehma huwa sa hai

to phir tum kam he yaad aao
dil ki daulat jaan ki daulat
to phir tum kam he yaad aoo
kam he yaad aoo.

                             BY
                  ANNYOMUS

APNA SITARA DHOONDNA HAI

APNA SITARA DHOONDNA HAI

sitaroon se bhare is asmaan ki bulandiyoon main
mujhe apna sitara dhoondna hai
falak per kehkashaan dar kehkashaan
ek bekarani si hai

na us ka naam hai maloom
na koi nashani hai
bas itna yaad hai mujh ko
pehli subha jab sarey sitare

aqri guftagoo karte huwe
rastoon pe nikle thee
to us ki aankh main
ek aur sitara jhilmilaya tha
usi sitare ki soorat ka

meri bhegee huwi aankhoon main
ek khaab rehta hai
main apne aansoon main
apne khaboon ko sajata hoon

aur us ki rah takta hoon
suna hai gumshuda chezeen
jahan pe kho jati hain
wahin se mil bhi jati hain
mujhe apna sitara dhoondna hai

                          BY
                ANNYOMUS

TERI HAR BAAT SONCHTA HOON

TERI HAR BAAT SOONCHTA HOON

main tujhe cahata nahi hoon lekin
phir bhi raat ki tanhai main sonchta hoon

tere auqaat main soonchta hoon
teri har baat sonchta hoon

kon se phool tujh ko bhate hain
rang kiya kiya pasand aate hain

kho sa jata hoon teri jannat main
main tujhe cahta nahi hoon lekin

phir bhi ehsaas se najaat nahi
sonchta hoon to ranj hota hai

dil ko jaise koi dobota hai
jis ko itna srhata hoon

us main teri si koi baat nahi.

                BY
      ANNYOMUS

MILNE AYE BARSOON BAAD

MILNE AYE BARSOON BAAD

yadoon ka ek jhonka mujh se milne aya barsoon baad
itna kabhi hum roye na thee jitna roye barsoon baad

lamha lamha ujda hai mushkil se ehsaas huwa
patthar barse barsoon pehle sheeshay toote barsoon baad

kiya poochte ho kis ne toda kaise toda kiyoon toda
kiya dhoondte ho galiyoon main dil ke tookdey barsoon baad

aaj hamari khaak pe duniya rone dhone baithi hai
jane kaise phool huwe hain itne saste barsoon baad

dastak ki umeed lagaye kab tak jeete hum
kal ka wada karne wale milne aaye barsoon baad.

                       BY
             IBN-E-INSHA

KIS TRHA BHULAOON UASY

KIS TRHA BHULAOON USAY

karoon na yaad magar kis trha bhulaoon usay
ghazal kaha na karoon aur gungunaoon usay

woh khar khar hai shaaq-e-gulaab ki manind
main zaqm zaqm hoon phir bhi galey lagaoon usay

yeh log tazkerey karte hain apne logoon ke
main kis se baat karoon ab kahan se laoon usay

magar woh zor faramosh zor-e-ranj bhi hai
ke rooth jaye agar  kuch yaad dilaoon usay

jo hum safar sir-e-manzil bichad raha haifaraaz
ajab nahi hai agar yaad bhi na aaoon usay.

                            BY
                       FARAAZ


AJNABI KA SAMNA ACCHA LAGA

AJNABI KA SAMNA ACCHA LAGA

bheed main kisi ajnabi ka samna accha laga
sab se chup ker woh kisi ka dekhna accha laga

surmayi ankhoon ke neeche phool se khilne lage
kehte kehte kuch kisi ka sonchna accha laga

kiya tha woh aur dekhne waloon ko kiya laga
aur main ne kuch kaha tha sabhi ko bura laga

ab peeta hoon aap apna ghoont ghoont main
jis din se mujhe apne lahoo ka maza aacha laga

                          BY
                ANNYOMUS

TUJH KO BHI AANA HOGA

TUJH KO BHI AANA HOGA

piyar ka jashn nahi tanha manana hoga
ghum kisi dil main sahi ghum ko mitana hoga

meri gardan main teri sandali bahoon ka yeh haar
kabhi ansoon bhar uthe meri ankhoon main qumaar

main na kehta tha ke mere ghar main bhi aye bahar
shart itni thi ke pehle tujh ko bhi aana hoga

kaanpte hontoon pe paymana-e-wafa kiya kehna
tujh ko layi kahan lagzis-e-paa kiya kehna

mere ghar main tere mukhde ki ziya kiya kehna
aaj ghar ka her diya mujh ko jalana hoga.

                                BY
                AZAM SHAHKERI

SEENE PE SO JAOO KISI DIN

SEENE PE SO JAOO KISI DIN

cehre pe mere zulf ko bikhraoo kisi din
kiya roz garajte ho baras jaoo kisi din

razoon ki trha utroo mere dil main kisi shab
dastak pe mere haath ki khul jaoo kisi din

pedoon ki trha husn ki barish main naha lo
badal ki trha jhoom ke ghir aao kisi din

khusboo ki trh aguzroo mere dil ki gali se
phooloon ki trha mujh pe bikhar jaoo kisi din

guzreen mere ghar se to ruk jayeen sitare
is trha meri raat ko mehkaoo kisi din

main apni her ek saans us raat ko de doon
sir rakh ke mere seene pe so jaoo kisi din

                          BY
            ASAL ISLAM AMJAD

APNA BANALE MUJH KO

           APNA BANA LE MUJH KO

apne hatoon ki lakiroon main saja le mujh ko
main hoon tera naseeb apna bana le mujh ko

main jo kaanta hoon to chal mujh se daman bacha kar
main hoon agar phool to judey main saja le mujh ko

main khuley dar ke kisi ghar ka hoon samaan piyare
tu dabey paoon kabhi aake churale mujh ko

kal ki baat aur hai ab sa rahoon ya na rahoon
jitna jee cahey tera aaj sata le mujh ko

khud ko main baant na daloon kahin daman daman
kar diya tu ne agar mere hawale mujh ko

                          BY
                KHATIL SHIFAI

MUJH KO MANA NE KE LIYE AA

MUJH KO MANA NE KE LIYE AA

ranjish he sahi dil dukha ne ke liye aa
aa phir se mujhe chore ke jane ke liye aa

pehle sa talluq na sahi phir bhi kabhi to
rasm-e-rah-e-duniya nibhane ke liye aa

kis kis ko batayenge judai ka sabab
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko mana ne ke liye aa

ab tak dil khush fahem ko hai tujh se umideen
yeh aaqhri shamaeen bhi mujha ne ke liye aa

                       BY
         AHMED FARAAZ

CHAND SA JIS KA MUKHDA HOGA

CHAND SA JIS KA MUKHDA HOGA

ek tabassum se kiya hoga
ghum na hamara halka hoga

aap ka jalwa jalwa hoga
dekhne wala ruswa hoga

yeh to bata aye rab-e-mohabbat
kon yahan per kis ka hoga

aisi ghadi bhi ayegi ek din
mera dard na mera hoga

jaan-e-tasavoor us ko banaoonga
chand sa jis ka mukhda hoga


                   BY
        ISHAQ MALIK

JUGNU KI TRHA

JUGNU KI TRHA

dastan-e-ghum sunate rahe
log sunte rahe muskurate rahe

mere aansoon meri bhegi palkoon pe
jugnu ki trha jagmagate rahe

yeh bade zarf ki baat hai yaroo
shiddat-e-ghum main bhi muskurate rahe

piyar-0-ulfat ka nagma hum hajera
raat din zayr-e-lab gungunate rahe.

                      BY
HAJERA YOUSUF YEKTA

BHOOLA DETI HAI DUNIYA

       BHOOLA DETI HAI DUNIYA

aise bhi mohabbat ki saza deti hai duniya
marjayeen to jeene ki dua deti hai duniya

hum kon se momin thee jo ilzaam na sehte
patthar ko bhi bhagwaan bana deti hai duniya

yeh zaqm-e-mohabbat hai dikhana na kisi ko
lakar sar-e-bazaar saja deti hai duniya

kismat per karo naaz na itna faqeero
hatoon ki lakheroon ko mita deti hai duniya

marne ke liye majboor to karti hai lekin
jeene ka tareeqa sikha deti hai duniya

kiya yaad rakhega hamen zarrah yeh zamana
zindoon ko bhi pal bhar main bhola deti hai duniya

                                    BY
                   ZARRA HYDERABADI

TANHA PAA RAHA HOON

             TANHA PA RAHA HOON

saza saach bolne ki paa raha hoon
main har taraf se thoker kha raha hoon

main pathar hoon meri auqaat kiya hai
magar phir bhi pooja ja raha hoon

zubaan rakhte huwe bhi khamosh hoon main
ajab alam main khud ko paa raha hoon main

mere piyasey hont to kuch bhi nahi hain
main dariya ko bhi piyasa paa raha hoon

main ayeena liye nikla hoon jab se
sabhi hatoon main pathar paa raha hoon

bahoot se log sathi thee safar main
magar manzil ko tanha paa raha hoon

zafar duniya bhi hai gehra samandar
bachoon kaise dooba ja raha hoon main

                        BY
 ZAFAR MEHMOOD ZAFAR

ZINDAGI KHARAAB KAROON

     ZINDAGI KHARAAB KAROON

ab apni rooh ke chaloon ka kuch hisaab karoon
main cahta tha charagoon ko aftaab karoon

botoon se agar kabhi ijazat miljaye to
shaher bhar ke khudaoon ko be naqaab karoon

us admi ko bas ek dhun sawaar hai
bahoot haseen hai duniya usko kharaab karoon

main karwatoon ke naye zayeqey likhoon shab bhar
yeh ishq hai to kahan zindagi kharaab karoon

yeh zindagi jo mujhe kharazdaar karti rahi
kahin akele main mil jaye to hisaab karoon.

                          BY
          DR RAHAT INDORI

TERE HATOON MAIN

                 TERE  HATOON MAIN

ishq ne goondhe thee jo gajre nokiley ho gaye
tere hatoon main yeh kangan to dheeley ho gaye

phool bechare akeley reh gaye shaaq per
gaoon ki sab titliyoon ke haat peeley ho gaye

kiya zaroori hai ke main vish paan karoon shiv ki trha
sirf jamun khaye aur hont niley ho gaye

                           BY
              DR RAHAT INDORI

CHALO ISHQ KAREEN

                  CHALO ISHQ KAREEN

aaj hum dono ko fursat hai
chalo ishq kareen

ishq dono ki zaroorat hai
chalo ishq kareen

is main nuqsaan ka khatra he nahi
ishq nafah ki tijarat hai
chalo ishq kareen

roz roz aate nahi
aise nashiley mausam
sham hai jaam hai rahat hai
chalo ishq kareen

                        BY
            DR RAHAT INDORI

Sunday, August 21, 2011

FARISHTE KHATAYEN KARNE LAGE

    FARISHTE KHATEN KARNE LAGE

andhere charoon taraf sayeen sayeen karne lage
charaag haat utha kar duwayeen karne lage

saleqa jin ko sikhaya tha chalne ka
woh log hum ko dayeen bayeen karne lage

lahoo lohaan padha tha zameen per ek suraj
parinde apne paroon se hawayeen karne lage

zameen per agaye ankhoon se toot ker aansoon
buri khabar hai farishte khatayeen karne lagey

taraqqi kar gaye bimariyoon ke saudagar
yeh sab mareez hain dawayeen karne lage

                        BY
           DR RAHAT INDORI

MAIN WOH KITAAB HOON

           MAIN WOH KITAAB HOON

main to kisi haseen ki ankhoon ka khaab hoon
mujh ko sharaab na do ke main khud sharaab hoon

jalwa mujhe mila hai to haseen nazar tujhe
mera jawaab tu hai main tera jawaab hoon

tujh ko sukoon naseeb mujhe bekharariyan
tu chand hai main jalta huwa aftaab hoon

dil ka waraq waraq hai tumhara he ayeena
jis main tumhara zikr hai main woh kitaab hoon

shaheen shaher shaher main ruswa hoon is liye
kuch to mizaaj shoq hai kuch be hijab hoon

                          BY
           REHANA SHAHEEN

MERE GHAR KA AYENA BADAL GAYA

MERE GHAR KA AYENA BADAL GAYA

taraqiyoon ki daud main usi ka zor chal gaya
bana ke apna rasta jo bheed se nikal gaya

zara si deer ke liye jo agaya main badal main
idhar yeh shor mach gaya ke chand dhal gaya

kahan tu baat kar raha tha khelne ki aag se
zara si aanch kiya lagi ke moom sa pighal gaya

sulag uthenge jane kitne dil hasad ki aag se
agar hawa ke robaroo mera chirag jal gaya

urooj per naseeb tha to chu raha tha asmaan
bigad gaya naseeb to zameen se phisal gaya

chala ke aandhiyaan kise girana cahta tha tu
jo meri jhonpdi gayi to tera bhi mahel bhi gaya

mujh ko meri shakal aaj lag rahi hai ajnabi
na jane kon mere ghar ka ayena badal gaya

nayeem ghum ki ruth ne zor bhi diya magar
na bagh se hawa gayi na jheel se kanwal gaya

                         BY
            NAYEEM AKHTAR



CHAMAN CHAMAN KE PHOOL 9

      CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:9

jis trha ghum main ankhoon ki nami ka hona
aisa hota hai mohabbat main kisi ka hoan
tera chand ke khabiley se to taluq nahi
yeh kahan se tujhe aya hai sab ka hona.

yaad rakhna he mohabbat main nahi hai sab kuch
bhool jana bhi badi baat huwa karti hai.

us ki yaad main din bhar rehna
aansoon roke chup saadhe
phir bhi sab se bateen karna
uski shikayat mat karna

mere wajood main basta tha rooh ki trha
woh mujh se kaise juda ho gaya sada ke liye

her aayena meri aankhoon se pooch leta hai
woh aks kiya huwe abaad jin se yeh ghar tha

mara hai mujhe laa ke yahan meri khaza ne
ilzaam doon kiyoon us ko woh khatil to nahi tha

is bhare saher main tanhayi he tanhayi hai
dil jo dhadka hai to uski bhi sada ayi hai

mujhe bhi dekhna hai bijli kis kis ko jalati hai
chaman main aaj her ek shaaq per hai aasiyana mera

haan samandar main utar lekin ubharne ki bhi sonch
doobne se pehle gehrayi ka andaza bhi laga

phool hota to tere dar pe saja bhi deta
zaqm leker teri dehleez pe aaoon kaise.

tanha koi shaqs miley to kare dil ki bateen
her shaqs ke saath hai saya us ka

dil se teri nigah jigar tak utar gayi
dono ko ek ada main razi kar gayi

main saach kahoonga magar phir bhi haar jaoonga
woh jhoot bolega aur la jawaab kar dega.

nahin nahin ham ko ab teri justajoo bhi nahi
tujhe bhi bhool gaye hum teri khushi ke liye

hiqarat se na dekho sahil walo toofaan waloon ko
kabhi aisa bhi hota hai ke kinare doob jate hain

jazbaat ubharte hain dabaye nahi jate
beh jate hain aankhoon se chupaye nahi jate

kash hota mere hatoon main suraj ka nizam
tere khadmoon main dhoop na aane deta

mere marne ki khabar hai us ko
apni ruswayi ka darr hai us ko
main kahin bhi rahoon kisi se miloon
meri fitrat ki khabar hai us ko

mohabbat ki khusboo hamesha saath chalti hai
koi tanha nahi hota tanhayi main bhi

ya khuda reyt ke sehra ko samandar kar de
yeh chalkti huwi aankhoon ko pathar kar de
tujh ko dekha nahi mehsoos kiya hai main ne
aa kisi din mere ehsaas ko patthar kar de

tere piyar ka charcha
charoon taraf ho raha hai
koi keh raha hai
koi sun raha hai
yeh suraj ki garmi
kiyoon kam ho rahi hai
shayad kahin koi ro raha hai
kabhi bhi kisi se na shikwa karo
jo khuda ne likha woh ho raha hai.

mere maazi ko andheroon main daba rehne do
mera mazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi
meri ummedoon ka hasil meri koshish ka sila
ek be naam aziyat ke siwa kuch bhi nahi

mujh se ab meri mohabbat ke fasane na kaho
mujh ko kehne do ke main ne unhe caha he nahi
aur woh mast nigahen jo mujhe bhool gayeen
main ne un mast nigahoon ko saraha he nahi

ek nazar ki aas main
pehroon khade reh jaooge
us taraf mat dekho
warna dekhte reh jaooge
be jhijak aaj keh do
tum apne dil ki baat
soonchte rahe agar to
soonchte he reh jaooge

na jane kis gunah ki saza de gaya
na haq barsoon jeene ki dua de gaya

kiya zaroorat hai chand ko dekhne ki
hum ne eid kar li un ko dekhne ke baad

tum se durr hona yeh hamari majboori hai
warna kon kambaqt khushi se juda hota hai

yeh kaise halaat hai yeh kaisi majboori hai
marne ko dil cahta hai jeena bhi zaroori hai

un ko dekhne se aati hai moonh pe raunaq
woh samjhte hain ki bimaar ka haal accha hai
hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ko behlane ghalib khayal accha hai

chand se ya phool se ya mujh se suniye
aap he aap hain jahan se suniye

tum to ek hoor ho hansta huwa kanwal ho
khasam khuda ki tum saans leta huwa taj mahel ho

                             BY
                    ANNYOMUS




CHAMAN CHAMAN KE PHOOL 8

     CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:8

rona halaat ka kab tak kaise chora jaye
karb ki rag se kaise khoon nichoda jaye
dard ka mazhab na rang na koi khitta hai
dil jo kisi ka bhi ho na toda jaye
hosh udne lage ab khair nahi kisi ki
rukh hawaoon ka kaise moda jaye.

hai idhar samandar hai udhar aankheen
meri piyas janti hai kahan milega pani.

mere khoon-e -jigar ko
woh samjh rahe hain pani
unhen hosh tak na aya
meri lut gaye jawani
tujhe pehle he kaha tha
ke har ada hai fani
mere hum naseeb tu ne
meri baat he na mani.

ab kahan hoon kahan nahi hoon main
jis jagah hoon wahan nahi hoon main
kon awaaz de raha hai mujhe
koi keh de yahan nahi hoon main.

main hawa hoon kahan watan mera
dasht mera na chaman mera
her gadi ek naya tagaza hai
dard-e-sir bangaya hai badan mera.

tumhare saher ka khanoon kitna andha hai
khata kare koi ilzaam kisi pe aye.

samandar ko saraab keh gaye thee
jazbaat ki ro main beh gaye thee
soncha tha to kuch bhi nahi thi duniya
dekha tha to dekhte reh gaye.

woh unhe yaad kare jis ne bhulaya ho kabhi
hum ne un ko na bhulaya na kabhi yaad kiya.

bin mangey koi cheez kahan milti hai
sasti he sahi maut yahan milti hai
hoshmandon se kaho hum bhi yahan per aye
saans lene ki hawa sab ko jahan milti hai

taqdeer hateli main kahan hoti hai
manzil bhi paheli main kahan hoti hai
jo baat teri zul-e-girah geer main hai
woh baat chameli main kahan hoti hai.

mujhe bewafa na kaho
main be wafa nahi
tum se durr hoon
per dil se juda nahi.

jawaan sitaroon ko gardish sikha raha tha
main us ke haath ka kangan ghuma raha tha.

kab se barish kar rakhi thi
tum ne lakh sawaloon ki
khud pe ek sawaal huwa to
baat karna bhool gaye

yeh jo kahishoon ka parinda hai
is ko mausam se gharz nahi
yeh udega apni he mauj mian
is ko sehra de ya pani de.

is ko kis raoshni main dafnayen
is ko kis khaab ka badan deen hum
woh jo khushboo mian dhal gaya yaro
is ko kis phool ka kafan de hum.

agar talaash karoge to mil he jayega
per kon tumhen meri trah se cahega
tumhen koi zaroor piyar se dekhega magar
woh ankheen hamari kahan se layega.

lazim nahi zubaan he izhar ke liye
woh main ne sun liya jo tum ne kaha nahi.

dukh bantne ki cheez nahi phir bhi dosto
ek dusre ke haal se waqif raha karo.

aaj khamoshi ki zubaan main dostoo
itni bateen kareen ki thak jayeen

koi sawaal kare to kiya kahoon un ko
baichadne wale sabab to bata judai ka

nahi manoos lab jis se
kuch aisi bhi hain faryadeen
kuch aansoon hain jo
palkoon pe nazar aya nahi karte.

dua nahi to baddua he likh deta
manzoor hota jo khat ke jawaab main aata

woh bhi mujhe azeez thi
main bhi us ko pasand tha
phir na jane kiya huwa
ke mohabbat he na rahi.

jamal rangeen shabab rangeen
woh sir se pa tak tamam rangeen
tamam rangeen bane huwe ho
tamam rangeen bana rahe ho.

na jane kon apni duwaoon main yaad rakhta hai
main doobta hoon samandar uchaal deta hai.

na jane kiyoon mere khad se badha nahi mera saya
main roz he naye suraj ki rah takta hoon.

paniyoon pe dastaan na likho
paniyoon ka mizaaj behna hai
waqt ruka hai kab kis ke liye
aaj keh do jo tum ko kehna hai.

                       BY
             ANNYOMUS













CHAMAN CHAMAN KE PHOOL 7

       CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:7

yeh aadat padh gaye hai
main subha-0-shaam likhta hoon
jab bhi likhta hoon
bas tera naam likhta hoon
kitaboon pe dewaroon pe
patton pe darakhtoon pe
jahan bhi likhta hoon
bas tera naam likhta hoon.

acchi surat ko sanwarne ki zaroorat kiya hai
saadgi bhi qayamat ki ada hoti hai.

jawani her kisi ki baes-e-ilzaam hoti hai
is umar main nake nazar bhi badnaam hoti hai.

bhooley hain rafta rafta unheen hum
ulfatoon main khudkashi ka maza hum se poochiye.

her ghadi khud se ulajhna hai muqadar mera
main he kashti hoon dil hai samandar mera.

pehli baar nazroon ne chand bolte dekha hai
hum jawaab kiya dete kho gaye sawaloon main.

meri subha tere salam se
meri shaam tere naam se
tere baghair meri zindagi ho
yeh khayal dil se nikaal de.

zubaan har cheez main zaher ghol deti hai
lafzoon main itni jurrat kahan ke woh khatal kare.

koi keh de yeh mohabbat ke kharedaroon se
piyar woh cheez hai jo milti nahi bazaroon se
hum to pehle he mohabbat main jaley baithe hain
kiyoon darate ho dahekte huwe angaroon se.

us ka gharoor mom ki soorat pighal gaya
jo aag baant ta tha pani se jal gaya
woh bewaqoof un ko darata hai
jinke dil se maut ka khaoof nikal gaya.

diloon ko fikr-e-do alam se kar diya aazaad
tere junoon ka silsila khuda daraaz kare.

main ne caha ke indoh-e-wafa se chootoon
wooh sitamgar mere marne per bhi razi na huwa.

us ke hoontoon pe mera nam jab aaya hoga
khud ko ruswaye se phir kaise bacahya hoga
sun ke auroon se fasana meri barbadi ka
kiya usko apna sitam yaad na aaya hoga.

meri ghazleen na gungunana tum
mere geetoon se piyar na karna
jane wale laut ke phir nahi aate
mera intezaar na karna tum.

yeh saach hai ke dushmanoon se bhi
dostana kalaam karta hoon
hausla ho to khatal kar dena
main tumhen bhi salam karta hoon.

sunte hain ke tujh ko kehte hain masiha magar
yahan ek shaqs mar gaya tujh ko dekhne ke baad.

talaab to kamzarf ho jate hain barsaat main magar
samandar kabhi aapey se bahar nahi hota.

kaise kahoon woh mujh se
bahoot durr ho gaya
jo mujh ko zindagi ki
dua de ke so gaya
baqi hai sirf yaadoon ke
kuch dhundley se nuqoosh
bachpan to mera
waqt ke mele main kho gaya.

jo dil ko lag jaye
us ko teer kehte hain
jo dil main utar jaye
us ko tasveer kehte hain
aap jaise dostoon ka saath mil jaye
haan isi ko taqdeer kehte hain.

sirf khanjar he nahi aankhoon main pani cahiye
aye khuda mujh ko dushman bhi khandani cahiye
main ne apni aankhoon se lahoo chalka diya
ek samandar keh raha tha mujh ko pani cahiye.

sab ko ruswa bari bari kiya karo
her mausam main fatwa jari kiya karo
khatra khatra shabnam gin ker kiya hoga
samandaroon ki dawey dari kiya karo.

tum ek aisi kali ho
saath apne bahar layi ho
tumhara yeh noor tumhare yeh jalwe
jaise chandni main naha ke aayi ho.

log tumheen baar baar mileenge
is baar baar main kayi yaar mileenge
bhool na jana hum ko kabhi
hum kahan baar baar mileenge.

ghum ke marey jo muskuraye hain
ansoonaon ko pasiney aye hain
kiya bala hai khushi nahi maloom
hum to bas naam sunte aye hain.

reyt per naam likhte nahi hain
likhey agar to tikte nahi hain
mujhe sang dil kehne waloo
patthar pe likhe naam mit tey nahi hain.

                       BY
               ANNYOMUS






SONCHA SALAM KARTA CHALOON

huzoor aap ka bhi ehteraam karta chaloon
idhar se guzra to soncha salam karta chaloon

nigah-0-dil ki yehi aaqri tamanna
tumhari zulf ke saye main shaam karta chaloon

unheen yeh zid ke mujhe dekh ker kisi ko na dekh
mera yeh shauq ke sab se kalaam karta chaloon

yeh mere khaboon ki duniya nahi sahi lekin
ab agaya hoon to do din qayaam karta chaloon

                              BY
                   ANNYOMUS

TUJHE AYE ZINDAGI

bahoot pehle se un khadmoon ki ahat jaan lete hain
tujhe aye zindagi hum durr se pehchaan lete hain

tabiyat apni ghabrati hai jab sunsaan ratoon main
hum to jaise yadoon ki chadar taan lete hain

meri nazreen bhi aise kafir ka jaan 0 emaan hai
nigaheen milte he jo jaan 0 emaan lete hain

firaq aksar badal kar bhes milta hai koi kafir
kabhi hum jaan lete hain kabhi pehchaan lete hain.

                BY
             FIRAQ

APNE HONTON PE SAJANA

apne hontoon pe sajana cahta hoon
aa tujhe main gun gunana cahta hoon

koi aansoon tere daman pe gira kar
boond ko moti banana cahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana cahta hoon

aqri hichki tere zanoon pe aaye
maut bhi mian shayerana cahta hoon.

                     BY
          ANNYOMUS
            SINGER
       JAGJIT SINGH

KHATIL KI NIGAHOON KI TRHA

ghum bade aate hain khatil ki nigahoon ki trha
tum chupalo mujhe aye dost gunahoon ki trha

apni nazaroon main gunahgaar hote nahi kiyoon kar
dil he dushman hai muqalif ke gawahoon ki trha

har taraf zeest ki rahoon main kadi dhoop hai dost
bas teri yadoon ke saye hain panahoon ki trha

jinki khatir kabhi ilzaam uthaye fakir
woh bhi pesh aaye insaaf ke shahoon ki trha

               BY
           FAKIR
         SINGER
  JAGJIT SINGH

KHUD KO PADHTA HOON

khud ko padhta hoon chore deta hoon
ek warq roz mod deta hoon

isqadar zaqm hai nigahoon main
roz ek aayena tod deta hoon

kaanpte hont girti bheegi palkeen
baat adhori he chore deta hoon

rayt ke ghar bana bana ke faraaz
jane kiyoon khud he tod deta hoon

                    BY
         TAHIR FARAAZ

JAB DEKHNE WALA KOI NAHI

kuch din to baso meri aankhoon main
phir khaab agar ho jaoo to kiya

koi rang to do mere cehre ko
phir zaqm agar mehkaoo to kiya

ek aayena tha so toot gaya
ab khud se agar sharmaoo to kiya

main tanha tha main tanha hoon
tum aao to kiya na aao to kiya

jab hum he na mehke phir saheb
tum baad-e-saba kehlaoo to kiya

jab dekhne wala koi nahi
bujh jaoo to kiya jal jaoo to kiya.

                       BY
               ANNYOMUS

KIYA HAI PIYAR JISE

kiya hai piyar jise hum ne zindagi ki trha
woh aashna bhi mila hum se ajnabi ki trha

kisey khabar thi badhegi kuch aur duri
chupega badli main woh chand ki trha

badha ke piyas meri us ne haat chore diya
woh kar raha tha murawat bhi dillagi ki trha

sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna
durr hum ne kiye jis ke ghum khushi ki trha

kabhi na soncha tha hum ne khateel us ke liye
karega hum pe sitam woh bhi har kisi ki trha.

                       BY
             KHATIL SHIFAYI
                     SINGERS
    JAGJIT SINGH CHITRA SINGH

KABHI YOON BHI TO HO

kabhi yoon bhi to ho
darya ka sahil ho
aur chandni raat ho
aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho

kabhi yoon bhi to ho
pariyoon ki mehfil ho
koi tumhari baat ho
aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho

kabhi yoon bhi to ho
yeh narm mulayem thandi hawayeen
jab ghar se tumhare guzreen
tumhari khushboo churayee
mere ghar le aaye
kabhi yoon bhi to ho

kabhi yoon bhi to ho
suni har dharti ho
koi na mere saath ho
aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho

kabhi yoon bhi to ho
yeh badal aisa toot ke barse
mere dil ki trha milne ko
tumhara dil bhi kare
tum niklo ghar se tanhayi main
barsaat ho aur tum aao
kabhi yoon bhi to ho.

                 BY
       ANNYOMUS