Saturday, August 20, 2011

CHAMAN CHAMAN KE PHOOL 2

      CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:2

aatish-e-ishq bhadkti hai hawa se pehle
hont jalte hain mohabbat main dua se pehle.

zindagi mili to ban ke khata mili
gunah itne na kiye thee jitni saza mili.

toofaan kar raha tha mere azm ka tawaaf
duniya samajh rahi thi kashti bhanwar main hai.

tum agar taish main aaker mera khat phaad bhi daloo
tumhare paoon chomengey meri tehreer ke tukde.

dekha jo husn-e-yaar ko tabiyat machal gaye
nazroon ka tha kasoor churi dil pe chal gaye.

husn waloon ki adaoon pe mar mit tey hain deewane
aagaaz to accha hai anjaam khuda jane

zamana jo kahey us ka ehteraam na kar
jis ko dil na maney us ko salaam na kar
sharaab pe ker bahekna hai to is ko na pee
hallal cheez ko is trha se haraam na kar.

bahoot peeta tha us ne
churadi apni kasam dekar
yaroon ki mehfil main baitha tha 
yaroon ne piladi uski kasam dekar.

aap hum qayamat se guzar kiyoon nahi jate
jeene ki tamanna hai to mar kiyoon nahi jate
dil main agar ghum hai to nazar kiyoon nahi aata
palkoon main gauhar hai to bikhar kiyoon nahi jate.

zindagi di jeene ke liye jeele main ne
kismat main likha tha pee peele main ne
agar na peeta to us ka likha jhoot hota
us ke likhe ko nibhaya kiya khata ki main ne.

har saajan ki ek gori hai
chanda ke saath chakori hai
aa mere pass khadi ho ja
kiya khoob hamari jodi hai.

yeh ishq nahi aasaan hum ne to yeh jana hai
kajal ki lakheroon ko aankhoon se churana hai.

marne ke baad bhi meri aankheen khuli rahi
aadat si padi huwi thi tere intezaar ki.

garmi suraj se hoti hai
jalna zameen ko padta hai
mohabbat nazar se hoti hai
tadpna dil ko padta hai.

aye mere chand itna bhi ghamand theek nahi
hum ne bhi kayee chand dekhe hain
tujh main to phir bhi daag hai
hum ne to be daag dekhee hain.

chand abar main chupta hai
magar kala nahi hota
dil jalta to hai
per chala nahi aata.

jaan thi piyari to dushman thee hazaar
ab shauq-e-sahadat hai to khatil nahi milta.

guzre dinoon ke sahare jee leta hoon
aksar apne zaqmoon ko see leta hoon
saber sharaab to badi cheez hai ek nemat hai
aankh main ashk bhi bhar aye to pee leta hoon.

shaam hote he charagoon ko bujh deta hoon
ek dil he kafi hai teri yaad main jalane ke liye.

jaane kiyoon log mere naam se jal jate hain
jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath.

ab ke sawan main baraste badaloon ke bawajood
jaley hain aag main hum barsatoon ke bawajood
mujh se aagey aagey chalti hai meri tanhaiyaan
saher veerana lagey raunaqoon ke bawajood
khaak ke putley falak ke sitare ban gaye
hum wahin hain kal jahan thee kosishoon ke bawajood.

chand kaliyoon ke muskurane se
jagey kayi zaqm poorane se
muddat huwi tere deedar ko
ab to chali aa kisi bahane se.

yoonhi yeh shaak se patte gira nahi karte
bichad ke log bhi ziyada jiya nahi karte
jo aane wale hain mausam unko shumaar karo
jo din guzar gaye un ko gina nahi karte.

tere saher ka mausam bada suhaan lagey
ek shaam churaloon agar bura na lagey
doobna ho to is saleqey se doboo
aas paas ki lehroon ko pata na lagey.

har taraf se nazroon ka waar khatelana hai
ek taraf akela dil ek taraf zamana hai.

                                BY
               ANNYOMUS




No comments:

Post a Comment