CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:4
bana bana ke duniya
mitaye jati hai
zaroor koi kami hai
jo paye jati hai
jab ajnabi koi aata hai
un ki mehfil main
usi dum ek shama
jalaye jati hai
jala ke shama ko phir
bujha bhi dete hain
phir dhuween ki simat
ek ungli uthaye jati hai
bata ker dhuwaan yeh
kehte hain aane wale se
yahan aashiqoon ki
yeh halat banaye jati hai.
barbadi-e-gulistaan ke liye
ek he ullu kafi hai
har shaaq pe ullu baitha hai yahan
aanjam-e-gulistaan khuda jane.
yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lejey
ek aag ka dariya hai aur doob ke jana hai.
hai ishq woh aatish ghalib
jo lagaye na lagey
bujhaye na bujhey.
mohabbat zindagi ki sab se mushkil aazmayesh hai
magar yeh aazmalene ke khabil aazmayesh hai.
janam ek baat kehta hoon
magar kehne se darta hoon
agar ijazat do to kahoon
main tum se piyar karta hoon.
is dar-0-deewaar ko dekh ke lagta hai yoon
ke is jahan main apna bhi koi aasyana hai.
yoon tanhayi main dil ko saza deta hoon
naam likhta hoon tera likh ker mita deta hoon.
main kahan rukta hoon arsh-0-farsh ki aawaaz se
mujh ko jana hai bahoot ooncha had-e-parwaaz se.
main akela he chala tha janib-e-manzil magar
log milte gaye kaarvaan banta gaya.
taqdeer banane wale tu ne kami na ki
ab kis ko kiya mila yeh muqaddar ki baat hai.
fikr se behtar zikr hai
faryaad se behtar yaad hai
yaad hai to aabaad hai
warna sab barbaad hai.
ghum ke phool chuna
karte hain angnayi main
hum tujhe yaad kiya
karte hain tanhayi main
shukriya tera ada
kaise karoon meri jana
naam tera bhi shamil hai
meri ruswayi main.
hamare baad mehfil main
afsaney bayan hongay
zamana dhoondega hamin
per hum na jane kahan hongaey.
hamare baad andhera he rahega mefil main
bahoot charag jaoogey raoshni ke liye.
girte hain saha sawaar he maidan-e-jung main
woh tifl kiya girey jo ghutnoon ke bal chaley.
yaad-e-maazi azaab hai ya rab
cheen le mujh se hafeza mera.
saqi ne mai khana aankhoon main chupa rakha hai
mujh se nacheez ko deewana bana rakha hai
maza dono main hai saqi mujhe ghum de ya sharaab
is liye har ghum ko seene se lagaye rakha hai
main dil-0-jaan se qurbaan teri parda nashini ke
mehboob ne cehre ko zulfoon main chupa rakha hai.
zindagi zinda dili ka naam hai
murda dil kiya khaak jiya karte hain.
tamanna lut gaye tere dum se mohabbat hai
mubarak ho ghair ko khushiyaan
hamain ghum se mohabbat hai.
aankheen khusli to jaag uthi hasrateen tamaam
kho diya us ko paya tha jis ko khaboon main.
halan ke un ko dekh ker palti he thi nazar
mehsoos yeh huwa ke zamane guzar gaye.
tum ho hum safar to zindagi huwi azeez
mujhe to jeene ka hausla na tha.
meri un se kam mulaqaat hai
bas ek din hai ya raat hai
lamha lamha woh mere saath hai
jane us main kiya aisi baat hai.
na jane kiyoon meri aankh se aagye aansoon
baad muddat ke jo guzre us ki gali se hum.
BY
ANNYOMUS

No comments:
Post a Comment