Sunday, August 21, 2011

CHAMAN CHAMAN KE PHOOL 8

     CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:8

rona halaat ka kab tak kaise chora jaye
karb ki rag se kaise khoon nichoda jaye
dard ka mazhab na rang na koi khitta hai
dil jo kisi ka bhi ho na toda jaye
hosh udne lage ab khair nahi kisi ki
rukh hawaoon ka kaise moda jaye.

hai idhar samandar hai udhar aankheen
meri piyas janti hai kahan milega pani.

mere khoon-e -jigar ko
woh samjh rahe hain pani
unhen hosh tak na aya
meri lut gaye jawani
tujhe pehle he kaha tha
ke har ada hai fani
mere hum naseeb tu ne
meri baat he na mani.

ab kahan hoon kahan nahi hoon main
jis jagah hoon wahan nahi hoon main
kon awaaz de raha hai mujhe
koi keh de yahan nahi hoon main.

main hawa hoon kahan watan mera
dasht mera na chaman mera
her gadi ek naya tagaza hai
dard-e-sir bangaya hai badan mera.

tumhare saher ka khanoon kitna andha hai
khata kare koi ilzaam kisi pe aye.

samandar ko saraab keh gaye thee
jazbaat ki ro main beh gaye thee
soncha tha to kuch bhi nahi thi duniya
dekha tha to dekhte reh gaye.

woh unhe yaad kare jis ne bhulaya ho kabhi
hum ne un ko na bhulaya na kabhi yaad kiya.

bin mangey koi cheez kahan milti hai
sasti he sahi maut yahan milti hai
hoshmandon se kaho hum bhi yahan per aye
saans lene ki hawa sab ko jahan milti hai

taqdeer hateli main kahan hoti hai
manzil bhi paheli main kahan hoti hai
jo baat teri zul-e-girah geer main hai
woh baat chameli main kahan hoti hai.

mujhe bewafa na kaho
main be wafa nahi
tum se durr hoon
per dil se juda nahi.

jawaan sitaroon ko gardish sikha raha tha
main us ke haath ka kangan ghuma raha tha.

kab se barish kar rakhi thi
tum ne lakh sawaloon ki
khud pe ek sawaal huwa to
baat karna bhool gaye

yeh jo kahishoon ka parinda hai
is ko mausam se gharz nahi
yeh udega apni he mauj mian
is ko sehra de ya pani de.

is ko kis raoshni main dafnayen
is ko kis khaab ka badan deen hum
woh jo khushboo mian dhal gaya yaro
is ko kis phool ka kafan de hum.

agar talaash karoge to mil he jayega
per kon tumhen meri trah se cahega
tumhen koi zaroor piyar se dekhega magar
woh ankheen hamari kahan se layega.

lazim nahi zubaan he izhar ke liye
woh main ne sun liya jo tum ne kaha nahi.

dukh bantne ki cheez nahi phir bhi dosto
ek dusre ke haal se waqif raha karo.

aaj khamoshi ki zubaan main dostoo
itni bateen kareen ki thak jayeen

koi sawaal kare to kiya kahoon un ko
baichadne wale sabab to bata judai ka

nahi manoos lab jis se
kuch aisi bhi hain faryadeen
kuch aansoon hain jo
palkoon pe nazar aya nahi karte.

dua nahi to baddua he likh deta
manzoor hota jo khat ke jawaab main aata

woh bhi mujhe azeez thi
main bhi us ko pasand tha
phir na jane kiya huwa
ke mohabbat he na rahi.

jamal rangeen shabab rangeen
woh sir se pa tak tamam rangeen
tamam rangeen bane huwe ho
tamam rangeen bana rahe ho.

na jane kon apni duwaoon main yaad rakhta hai
main doobta hoon samandar uchaal deta hai.

na jane kiyoon mere khad se badha nahi mera saya
main roz he naye suraj ki rah takta hoon.

paniyoon pe dastaan na likho
paniyoon ka mizaaj behna hai
waqt ruka hai kab kis ke liye
aaj keh do jo tum ko kehna hai.

                       BY
             ANNYOMUS













No comments:

Post a Comment