Sunday, August 21, 2011

MAIN NAZAR SE PEE RAHA HOON

main nazar se pee raha hoon
ke sama badal na jaye
na jhukaoo apni palkeen
yeh shaam dhal na jaye

main bana to loon nasheman
kisi shaaq-e-gul pe lekin
mere saath aashiyaan ke
yeh chaman bhi jal na jaye

main bana saka na aasiyaan
is khauf se chaman main
kahin naigah-e-ehl-e-gulashan
phir badal na jaye

mere ashk bhi hai is main
ke sharaab ubal na jaye
mera jaam chune wale
tera haat jal na jaye.

abhi raat kuch hai baqi
na utha naqaab saaqi
mera rind girte girte
kahin phir sambhal na jaye

meri zindagi ke malik
mere dil pe haat rakh de
tere aane ki khushi main
mera dum nikal na jaye

mujhe phoonkne se pehle
mera dil nikaal lena
yeh kisi ki hai amanat
kahin saath jal na jaye.

                                         BY
                                ANNYOMUS

No comments:

Post a Comment