Sunday, August 21, 2011

MERE GHAR KA AYENA BADAL GAYA

MERE GHAR KA AYENA BADAL GAYA

taraqiyoon ki daud main usi ka zor chal gaya
bana ke apna rasta jo bheed se nikal gaya

zara si deer ke liye jo agaya main badal main
idhar yeh shor mach gaya ke chand dhal gaya

kahan tu baat kar raha tha khelne ki aag se
zara si aanch kiya lagi ke moom sa pighal gaya

sulag uthenge jane kitne dil hasad ki aag se
agar hawa ke robaroo mera chirag jal gaya

urooj per naseeb tha to chu raha tha asmaan
bigad gaya naseeb to zameen se phisal gaya

chala ke aandhiyaan kise girana cahta tha tu
jo meri jhonpdi gayi to tera bhi mahel bhi gaya

mujh ko meri shakal aaj lag rahi hai ajnabi
na jane kon mere ghar ka ayena badal gaya

nayeem ghum ki ruth ne zor bhi diya magar
na bagh se hawa gayi na jheel se kanwal gaya

                         BY
            NAYEEM AKHTAR



No comments:

Post a Comment