Sunday, August 21, 2011

HAZAROON KHAHISHEEN AISI

yeh kehne ko bhi kehte hain kabe se sanam nikle
hamare dil se woh nikle na unke dil se hum nikle

sitare jin ko samjha tha meri chashm-e-basirat ne
unhe jab ghaur se dekha to tere khadam nikle

tamanna aarzoo arman hasrat ke alawa bhi
hazaron khahishen aisi ke har khahish pe dum nikle

tasavoor main tera ana bhi yeh koi ana hai
kabhi to ghar ke darwaze ke bahar bhi khadam nikle

raqeeb-e-roosiyah sab reh gaye moonh takte apna
ke jis dum sir khuroor hoker tere dar se hum nikle

mateen us ka yeh andaz-e-tabassum jaan lewa hai
kahin aisa na ho ke us ke laboon pe mera dum nikle.

                                 BY
                      ANNYOMUS


No comments:

Post a Comment