Saturday, August 20, 2011

CHAMAN CHAMAN KE PHOOL 3

CHAMAN CHAMAN KE PHOOL:3

kisi pagal kavi ki kalpana ho tum
main khud ko bhool jaoon woh nasha ho tum
ab hosh aye na kabhi to behtar hoga
sapna he sahi mera apna ho tum.

woh aur hain jo adawat ki baat karte hain
hum to aashiq hain mohabbat ki baat karte hain.

na jane kiyoon mujhe ab zindagi acchi nahi lagti
ghum accha lagta hai ab khushi acchi nahi lagti.

waqt se pehle waqt nahi tha
waqt ke baad ab hai waqt
haat chura ke chala gaya woh
ab pachtana kiya
kabhi kabhi baat ho to
samjhota bhi kar leen
roz roz ka roothna kiya
aur manana kiya.

kal khaab main dekha sakhi
main ne piya ka gaoon re
kanta bhi wahan ka phool lagey
dhoop lagey thandi chaoon re.

muddat huwi thi hont hamare siley huwe
kal shaam woh miley to un he se giley huwe
woh keh rahe hain dard jo baqsha hai zeest hai
jo zaqm de chuke woh wafa ke siley huwe.

aankheen khuli to jaag uthi hasrateen tamaam
khodiya us ko paya tha jis ko khaboon main.

woh shaqs mere dil main aise utar gaya
jaanta ho jaise mere dil ke raaste.

meri aankheen yeh kaisa khaab dekh rahi hain
zameen pe chalta huwa aaftaab dekh rahi hain.

aaoo huzoor tum ko sitaroon main le chaloon
dil jhoom jaye aisi baharoon main le chaloon.

mujhe maloom hai sang dil
tujhe is baat ka dar hai
ke main teri be wafaye ka
charcha aam kar doonga
na aayega raqeboon ke
tasavoor main kabhi sadeq
main apne naam ko
is trha gum naam kar doonga.

mere maazi ko andheroon mian chupa rehne do
mera maazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi
meri ummedoon ka hasilmeri kawishoon ka sila
ek be naam wasiyat ke siwa kuch bhi nahi.

aahat si koi aaye to lagta hai ke tum ho
saya sa koi lehraye to lagta hai ke tum ho.

kiya kahoon dostoon ke bareey main
meri kismat ke phool hai yeh log
jab bhi dete hain zaqm dete hain
kis khadar ba usool hain yeh log.

ab to kuch apni tabiyat bhi juda lagti hai
saans leta hoon to zaqmoon ko hawa lagti hai
kabhi razi to kabhi khafa lagti hai
zindagi tu he bata tu meri kiya lagti hai.

ghazab kiya tere wadey pe etbaar kiya
tamaam raat qayamat ka intezaar kiya.

bana kar yateemoon ka hum bhes ghalib
tamash-e-ehl-e-karam dekhte hain.

jab tak bika na tha koi khareedar na tha
aap ne khareed ker anmol kar diya.

kabhi jo main sir ba sjda huwa
to zameen se aane lagi sada
tera dil sanam aashna hai
tujhe namaaz main kiya milega.

dil to kiya cheez hai hum rooh main utar gaye hote
tum ne caha he nahi cahne waloon ki trha.

haath us ke bhi huwe hoongey yaqeenan zaqmi
kaante jis ne meri raha main bacahye hongey.

woh dil he kiya jo tere milne ki dua na karey
main tujh ko bhool ke zinda rahoon khuda na karey.

mujh se mat pooch meri kahani humdum
is main kuch parda nashenoon ke bhi naam aate hain.

hum sepoochte hain ki ghalib kon hai
koi bataye ke hum batayeen kiya.

tere ishq ne ghalib humain nikamma kar diya
warna hum bhi aadmi thee kaam ke.

                        BY
               ANNYOMUS


No comments:

Post a Comment